Haaye Sajjad, Haaye Bimaar (x3)
may chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, may chal bhi nahi sakta
Aankhon se lahu meri (x2) Ik pal bhi nahi rukta may chal bhi nahi sakta, Qaidi hun may amma, may chal bhi nahi sakta
Ye khun jo behta hai, is pak ka matam hai, Mujhe touk aur beri ke, gham se bhi sawa gham hai, Maa behne phuphi aayi (x2) baazaar may be parda May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, Naamuse Mohammed ki, jis waqt ridaa utri, Baazaar may aaya hai (x2) zindaan ye mera laashaa May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, Us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, Jis bibi ka baba ne (x2) chehra bhi nahi dekha May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, Kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, Jab maa ne kahaa mujhse (x2) tum koun ho ai betaa May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, Maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, Kya dafn huwe honge (x2) karbal may mere baba May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, Zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, Ghairat ke khuda ka sar (x2) neze pe nahi rukta May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, Sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, Is husn ke paikar ki (x2) ab tak hai maa zindaa May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Maa behne khule sar hai, raahon may tamashaai, Aulaade Mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, Pabande silaasil hun (x2) kaanton se bhara rasta May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, Farhaan aur shoukat ki, aukaat kahaan maula, Tauheed bhi karti hai (x2) har waqt tera giryaa May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
Aankhon se lahu meri (x2) ik pal bhi nahi rukta May chal bhi nahi sakta, qaidi hun may amma, May chal bhi nahi sakta
|