Aye barwe moula mera iman jaga day AsSalam o Alaika ya baqiyat Allah Miljaye raza Rab ki saleeqa tu dikha day
1) Khudgarzi ka aualam hai har ek shaqs pareshaan Mazhab pey ibadat hai doori ka yeh saaman Momin ki hai pehchaan rasta woh dikha day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
2) Har simt gunahon ki Fiza ruh hai har su Ham logon pe saaya kiye rahta hai bas ek tu Har ek gunah se mere daman ko bacha dey Aye baarwe moula mera imaan jaga day
3) Moula mai gunahgaar khata Kaar bada hun Mai aas ye rakhta hun ke momin toh tera hun Bigdi hui taqdeer hai moula tu bana day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
4) Mai majlis-e-Shabbir bapa karta hun moula Lekin mai dikhave ka bharam rakhta hun moula Is dil mein mere sheh ka azakhana saja day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
5) Ghaibat ka jo purda hai usse ab toh uthaday Deewane tadaptein hai ziyarat toh karaday Tu Hujjat-e-Allah hai jahan ko yeh bata day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
6) Har pal mein ibadat ho tilwat wo qurani Ho hamko dua-e-nudba yaad zubani Shaamil tere lashkar mein ho yeh (azm) banaday Aye baarwe moula mera imaan jaga day
7) Qaem rahe majlis yeh azakhane hamarey Tutein na waseelon ke muraadoN ke saharey Jo dushman-e-Shabbir hai usko tu mita day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
8) Aajaye na Shiite pey baqa shah ka ho gham Jhuk payega parcham na rukega kabhi matam Ye zikr-e-Hussaini hai issey azm-e-wafa day Aye baarwe moula mera imaan jaga day
9) Moula tujhe Zainab ki aseeri ki kasam hai Jo bhi hai giraftaar ya (jid) ghar mein bhi gham hai Sadqe meri bibi ke nijaat tumko diladay Aye baarwe moula mera imaan jaga day
10) Aulad sey mahroom hai bhurti hai jo aahein Behney woh pakad kar karein duleh ko duaaein In logon ke gulshan mein bas ab phool khiladay Aye baarwe moula mera imaan jaga day
11) Jinka nahin imaan imamat pey bharosa Woh asl mein detey hai (alijeer) ko dhoka Kya hukm-e-Nabi hai tu inhein aaake sunaday Aye baarwe moula mera imaan jaga day
|