Din ye qismat ne tumko dikhaya he aaj Aasuon se ye daaman bhigone chalo Jinke ghurbat pe rote rahe umr bhar Unke roze pe ab unko rone chalo Chalo Shaam chalein (x2)
Chalo Shaam chalein Pursadaaron aao bibi ne bulaya he (x2) Chalo Shaam chalein
1. Pursa unko aansuon se denge unke bhayi ka Shaame ghurbat ke andheron ka kabhi tanhayi ka
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
2. Pursa denge be saron ka matami zanjeer se Pursadari ka ye moka milgaya taqdeer se
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
3. Faisla he apne haq mein katibe taqdeer ka Bibi ke roze pe chehlum hum karein shabbir ka
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
4. Jinko who bibi na royi gardishe aalaam me Matame auno Muhammad barpa karne Shaam me
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
5. Tees ghanton mein jahaan se guzri aale Mustafa Pursa dena dekh kar manzar usi bazaar ka
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
6. Khutba zainab ne diya tha jis jagah par momino Dekhne apni nigaahon se usi darbaar ko
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
7. Rote rote jaanibe di thi Sakina ne jahaan Zakhme dil bhar jaaye maa ka aise rona tum wahaan
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
8. Is tarah bechadari ka bibi se bantenge gham Shaam jaa kar aurton ko chaadarein baantenge hum
Chalo Shaam chalein Pursaadaron aao bibi ne bulaya he Pursaadaron aao
9. Jaane kab mera bulawa hoga Mazhar Abidi jab mere kaanon mein gunjegi sada Farhan ki

|