Amma Aaye faras ki zeen se, jab khaak par Hussain Maadar ka chehra dekh ke karne lage ye bain
Ammaa May thak gaya hun maan
Apni aaghosh me kuch der, sulaalo ammaa May thak gaya hun ,ye laashe, uthaake aey ammaa
Kitne neze hain mohammad ke, nawaase ke liye Qatl se pehle zara der, dilaase ke liye Apne mazlum ko seene se, lagaalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Qatl abbas ka hojana, qaza thi meri Barchhi Akbar ko nahin mere, kaleje me lagi Gham ki barchhi mere seene se, nikaalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Ab mere khun ka pyaasa hai, ye jangal saara Koyi is dasht me naasir bhi, nahin hai mera Ho sake to mere ghazi ko, bulaalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Halq sookha hai kaleeje may, dukhan hoti hai Reyt zakhmon me jo jaati hai, chubhan hoti hai Apni chaadar ko mere zakhmon, pe daalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Dekh ke aun o mohammad ko, sare dashte bala Dil yun tukre huwa jis tarha,badan qaasim ka Mere is tute huwe dil ko, sambhaalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Koyi sar par nahin gham kis ko, sunaaye muztar Baad may meri zainab ki, chhinegi chaadar Meri zainab ko ujarne se, bachaalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
Ye jo "farhan" ke "mazhar" ke, labon par hai buka Keh rahe the dame zib’ha ye, shahe karbobala Zere khanjar hun nigaahon ko, hataalo ammaa May thak gaya hun, ye laashe, uthaake aey ammaa
|