Khanjar qareeb zanu e qatil qareeb hay
Efforts: Nishat Naqvi

Jab mera Hussain, Fatema ka cheyn (x2)
Pushte raahwaar se khaak pe ghira
Ya Hussain (x3)
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Ya Hussain (x2)
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

1) Jaan kar qareeb tar mera parwardigaar dekh
Aashiq ka apne reyg-e-tapaan par qaraar dekh
Mera yakeen dekh mera etebaar dekh
Mei kitna mutmain hun idhar eik baar dekh
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

2) Pyaasa hun teen roz ka zakhmon se choor hun
Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hun
Che maah ho gaye mei watan se bhi door hun
Ab teri baargaah mei tere huzoor hun
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

3) Ek qalb-e-natawaan be bahattar ka daagh hay
Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hay
Bazu burida sher ka Asghar ka daag hay
Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hay
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

4) Eh keh ke jo khamosh huwe sibt-e-payambar
Dekh ke sarhaane khari hay madar-e-muztar
Shehzadi ke sar par hay pari khaak ki chadar
Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

5) Mazloom ki imdaad ko aata nahi koi
Paani dam-e-marg pilata nahi koi
Zakhmon pe lagi khaak churaata nahi koi
Haay haay mere bache ko bachata nahi koi
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

6) Haider se kaha Zehra ne khof ata hay saheb
Maan hun mera dil dard se tharrata hay saheb
Ye dekhiye duniya se pisar jaata hay saheb
Khanjar ko liye shimr chala aata hay saheb
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

7) Farmaane lage maan se basad ranj ye maula
Kuch deyr mei ab kooch hay duniya se hamara
Ay amma chali jaaye maqtal se khudara
Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

8) Ek baar jo khaymon ki taraf yaas dekha
Dekha ke dar-e-khaymaan pe roti hay Sakina
Ek hook uthi qalb mei rone lage maula
Zainab se ishaaron se kaha ay meri behna
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

9) Aawaz-e-ghaib aayi palat aa Hussain aa (x2)
Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa
Khun-e-pisar se tu hay wuzu ab to kar chuka
Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

10)Jab ponchi behen bhaayi ke laashe pe khule sar
Dekha ke laeen pher chuka halq pe khanjar
Aur shimr liye jata hay sar gesoo pakar kar
Ay "Sarwar-o-Rehan" karo yaad wo manzar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hay
Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hay (x2)

Assalaamu alayka ya tharallahi wabna thaari
Wal witral mawtoor, ashhadu annaka qad aqamtas-salaat
Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil maaroofi wa nahayta annil munkar
Wa atatallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen
Assalaamu alayka ayyuhash-shaheed
Assalaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom