teen shaaban sadaae qaunain marhaba salle ala hogaya zahoor e maula hussain aaghoshe fatema se husain aaghoshe risaalat me aaye hussain dekh ke nana ko muskurate hain magar ye kya huwa chashme rasoole akram se khushi ke wakt bhi aansu tapakte jaate hain sawaal kardiya zehra ne ay mere baba udaas kyun huwe kyun sogwaar hai chehra kaha rasool ne zehra mai khush huwa ye tera laal mere deen ko bachaega mein roya is liye zehra watan se door pyasa akela ghareeb ye mara jaaega aur us qayaamat me na mein na tum na ali honge na hasan hoga na koyi apna na pyara hoga kinare nehr ke be goro be kafan hoga tadap ke puchha nabi se hussain ki maa ne ke mere baba uspe kon royega kaha rasool ne zehra na fikr kar beti khuda ki samt se maujood ek kabila hai jo royega taa hashr uska waada hai jo na hussain ko bhulega na husain usko bhulega saare jahaan se unki musalsal sada hogi hussain
waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina
usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya
husseinun hubbuhu yamhul khataaya huwa nurul ladhi yuhdhil baraaya minhu lah badrul huda lan nensah tulil madaa
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena ehna khiddamak je na waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina
qasam allah ki wo jisne hame khalq kiya aur hame karbobala ke liye makhsus kiya ham wohi log hain wallah dua e zehra usne halmin jo kaha nasirin yansurna hamne labbaik kaha
usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena ehna khiddamak jena waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina
azam allaho lakal ajra ali bil musiba ya hayder ya ali
ya ali aapke har ranj o masaaeb ki qasam aapke gham ki hai makrooz ye nasl e aadam chauda sadiyon se musalsal hai azaa o matam go ke har chand huwe hath kalam paon kalam zaayer e karbobala ke na ruke phir bhi qadam
azam allaho lakal ajra ali bil musiba ya hayder ya ali law qatauu arjulna wal yadayne naatik zahfa sayyidi ya hussain
hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena ehna khiddamak jena waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina
ek waada hai jo shabbir se ham sab ne kiya ek waada hai jo shabbir ne bachpan me liya apne maa baap se nana se baradar se kaha aap sab mere azaadaaro ko kya denge sila
bole sarkaar e mohammad mein shafaat dunga bole haidar ke mein kausar ki bashaarat dunga aur hassan bole mein sardaar hun jannat dunga boli zehra tera waada hai shahaadat dunga mein bhi jannat me na rakkhungi qadam mere hussain jab talak khuld me jaaye na azaadaar e hussain
hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena ehna khiddamak jena
imam hussain
waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge ya zehra
aati hai fatema zehra ki sada ay azaadaaro suno
ay azaadaaro na jab tum bhule bhul jaaye tumhe zehra kaise mujh pe kya kya na masaaeb toote
mera do baar jala ghar logo mere pehlu pe ghira dar logo daagh e mohsin hai jigar par logo mujh ko darbaar bulaa kar logo kaata hai qalb e payambar logo
nahi bhulenge ya zehra
na mein abbas e alamdar ke baazu bhuli na mein zainab ka tarapta kisi pehlu bhuli gard aalood sakina ke na gesu bhuli na hi sajjad ke khoon rang wo aansu bhuli
nahi bhulenge ya zehra
apne bachhe ke rafiqon ko bichharta dekha khaaq par aun o mohammad ko tarapta dekha meine tukre huwe qasim ka janaaza dekha eriyaan khaaq pe akbar ko ragarta dekha meine asghar ka galaa teer me uljha dekha jis ghari laal mera zeen se reti pe ghira tera zarbo se mere saamne sar uska kata
hussain hussain
haay phir shaame ghareeba ne mujhe lut liya wo rida meri thi aadaa ne jise lut liya mein na bhulungi wo baazaar haaye wo shaam ka darbaar nahi bhulungi wo zindaan haay mera aabid e beemar
zehra zehra zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge
shabbir ki ghurbat ko neze pe tilaawat ko
zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge
abbas ko akbar ko qasim ali asghar ko
zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge
jalte huwe khaimon ko chhinti huwi chaadar ko
zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge
zainab ki shuja-at ko aabid ki qayaadat ko
zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah hussain wainah bis suyuf magta-ainah
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina |