Bazar main sitamgar Zainab ko la rahain hain Abbas ko bulao Aalai Nabi ko Zaalim dar dar phira rahain hain Abbas ko bulao
1) Saidaniyan to sheh kai Matam main ro rahin hain Aur bai haya sitamgar khushiyan mana rahain hain Abbas ko bulao
2) Aik ashk per hain jin kai dono jahan sadqai Has has kai sham walai un ko rula rahain hain Abbas ko bulao
3) Bai khof hon kai zalim ghazib ghulam sadai Sheh ki yatim bachi pai zulm dah rahain hain Abbas ko bulao
4) Beemar saraiban sai ghabrai ka boli Zainab Ham bai rida khulai sar darbar ja rahain hain Abbas ko bulao
5) Aik ma tarap tarap kai feryad ker rahi hai Sajjad kai sitamgar durai laga rahain hain Abbas ko bulao
6) Aik ashk par hai jin kay dunoon Jahan Sadqay Hans hans kay Sham walay un ko rula rahay hain Abbas ko bulao
7) Phir waqt aa gaya hai dunyia mein aaj Gohar Ahle-sitam jahan mein phir sar utha rahay hain Abbas ko bulao
|