Matam hai ye meri baqa, karte rahenge ham sada (x2) Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x3)
Ham sina zani sham-o-sahar (x2) Karte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
1) Ay sani-e-zehra teri, sunnat hai ye matam Apne jo aqeede mei ibadat hai ye matam Har haal mei ye farz ada (x2) Karte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
2) Jisne teri chadar pe fida, kardiye bazu Kehti hai jisse bibi, alamdar-e-wafa tu Har ghar tere ghazi ke alam (x2) Sajte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
3) Dohraayenge pyaase tere, Asghar ke kahani Ta hashr jisse rowenga, daryaon ka paani Har ghunt pe ham yaad usse (x2) Karte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
4) Jo aag liye khana-e-zehra pe the aaye Khayaam jinho ne tere, karbal mei jalaaye Wo naar-e-jahannam mei sada (x2) jalte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
5) Bibi tere beton ke, biradar ke lahu se Roshan jo huwe aal-e-payambar ke lahu se Wo deep haawaaon mei sada (x2) Jalte rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
6) Bhulengi na dunya ye teri, dard kahani JAWWAD ke labse kabhi SADIQ ki zubaani Pursa tere pyaaron ka tujhe (x2) dete rahenge Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge (x2)
|