Jab khafila pahuncha tha madine ke zara paas Maqtal may hua kya ye suna usne basad yaas Kat-ta tha jigar dil may nidamath ka tha ehsaas Har ek se ye poochti thi madar e abbas Jab gardan e shabbir pe khanjar wo rawan tha Bas itna batado mera abbas kahan tha
Zehra ke pisar jane nabi sayyade wali Akbar ke kalejay se sina kaise nikali Jab khaak pe dum torr-ta laila ka jawan tha Bas itna batado....
Maidan may baysheer ko jab laye thay shabbir Nanhe ali asghar ke jo gardan pe laga teer Jab baap ke hathon pe pisar tashna-dahan tha Bas itna batado....
Aqa mera maidan may kyun rehgaya tanha Haan doodh na bakhshungi mai ye kya kiya beta Zehra ka pisar khaak pe jab girya kuna tha Bas itna batado....
Jab bibiyan jalte huwe qaimon ke thi andar Jab zainabe dilgir ki cheeni gayi chadar Jab gardane beemar may wo tauqe giran tha Bas itna batado....
Abid ko liye phirti thi jab zainab-e-muztar Jab aag lagayi gayi cheena gaya bistar Phaila huwa jab sham-e-ghariban ka dhuan tha Bas itna batado....
Jab shame ghariban may bhi pyase rahe bache Jab dukhtare shabbir ke lagte thay tamache Jab uska jigar karbe yateeme se tapan tha Bas itna batado....
Zainab ne kaha usko wafa ka tha bahot khwas Jab zibha huwe bhai tho zindan na thay abbas Bin haton ke tha ghairate ilyaas ka laasha Saahil pe tadapta raha abbas ka laasha
Ye sun ke kiya shukr magar phir bhi hai ehsas Ab tak ye qamar poochti hai madare abbas Jab gardane shabbir pe qanjar wo rawan tha Bas itna batado....
|