Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo se mehfil saji huwi thi, Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo se mu chupaye zainab ye keh rahi thi Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
Majmaye aam me bewatan be amaan agaya karvaan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
1) Mei bhi hu marziay binte kayrun nisa, mere lehje me hay baba teri ada Naam zainab mera, tune jo rakhdiya, dey di apni zubaan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
2) Babajaan me rida mangti rehgayi,bamo dar saj gaye, jiteji margayi,halqaye shaam me, naam sunkar mera, margaya naatawan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
3) Babajaan ye tera akhri tha bayan, teri chadar bachayega ghazi jawaan, mar gaya bawafa, chingayi hay rida, kehti hay bibiyaa Abbas, Abbas Abbas x3
4) Ruk na paya mere bawafa ka wo sar, noke neza se aane laga khaak par, behn ko darbadar, dekhkar nange sar, sheh na paya jawaan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
5) Haath kano pe hai, neel gaalo pe hai,aur nishan jo sakina ke shaano pe hai, har nishan se yahi, aa rahi hay sada, babajaan babajaan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2)
6) Aysa khutba diya mene darbar me, likhraha hay jo "yawar" tere pyaar me, lehjaye hayderi, har azaan ke liye hay sadaye azaan Aey mere babajaan horahi hay azaan sar chupaou kaha (x2) |