Aye kash main bhi hota maidan e Karbala may Aye kaash, ae kaash, ae kaash Aye kaash me bhi hota maidany Karbala may
Mera bhi zikar ata Quraan e Karbala may
Zahra k ladley py jaan apni waar deta Tableegh-e-Mustafa ka qarza utaar deta Hur ki tarha se me bhi aada se jang kar ke Insaniyat ka chehra khoon se nikhaar deta
Sheh ki taraf jo barrhta wo haath kaat deta Maidan-e-jang sara lashon se paat deta Juz maut aur kaheen bhi jaaye amaan na milti Dil zindagi se sab ka aisa uchaat deta
Nasl e yazeediat ko aisa sabaq sekhata Naam o nasab bhi apna har fard bhool jata Sufiyaniyat ki aisi mitti kharaab hoti Ta hashar phir na koi Namrood sar uthata
Mola ba jabr e qismat dil me rahi ye hasrat Hasil hoyi na mujko sarmaya e shahadat Ashk e aza ki barish karti rahain gi ankhain Seena zani karon ga is gham me ta qiamat
Mera salaam un per jo tashna lab rakhe hain Be jurm Karbala me jin k galay kate hain Ghorron se rond daalay aada ne jin ki lashay Tapti hoi zameen per jo be kafan parray hain
Wo shaam e gham, wo khaimay, wo raat, wo fizayain Bachon ki sehmi sehmi wo muztarib sadayain Aulaad-e-fatima par kya kya sitam na toote Syedaniyo k sar se cheeni gayen ridayain
Jab ran se arahi thi awaaz e istighasa Pur dard kis qadar tha andaaz e istighasa Shayad na tha jahan me koi siwaye Asghar Hota jo rahe haq me imdaad e istighasa
Her bazm her zabaan per hain karbala k charchay Ta hasher kam na hoongy aal e iba k charchay Abbas e bafawaa se daad e wafa jo milti Hotay gali gali me meri wafa k charchay
|