Aey matmi hussain ke salam Azmat ki inteha tu Zehra ki hay dua tu Sab se buland hay tera maqaam
Himmat nahi kisi may is zikr ko mitaye Batil ne har tarha se har taur aazmaye Ghar bhi luthaya tum ne Sar bhi kathaya tum ne Bakhsha gham-e-Hussain ko dawaam
Jag may nahin hai milti koi misaal teri Taareef kar rahe hain maazi-o-haal teri Arbo may aur ajam may Ibn-e-Ali ke gham may Peeta raha shahadaton ke jam
In qaatilon ke hamle nakaam ho rahe hain Teri wafa ke charche ab aam ho rahe hain Baatil may khalbali hai Maatam gali gali hai Neendein hui hai kufr ki haraam
Ro ro ke de rahi hain Zainab duaein tum ko Hairat se dekhti hain Karbal ki maaein tum ko Ba sidq e ba yaqeen ho Karbal ke tum amee ho Mamnoo hai tumhara khaas-o-aam
Koi maqaam pooche Sajjad se tumhara Maatam tera bana hai jis ke liye sahara Wo natawan musafir Wo dard ka payambar Karta hai ab bhi shaam, shaam, shaam
In beyaqeenio main ahl-e-yakeen tum ho Deen-e-Muhammadi ke aslan ameen tum ho Dil chaahta hai mera Ho shaam ya sawera Karta rahoon yuhin tumhe salaam
Saanson may teri khushboo dil main hai pyaar tera Ab aa bhi jaao sab ko hay intezaar tera Aey aaliyon se aali Aey bekason ke waali Sambhalo ab jahan ka nizaam
May kia hoon arsh wale tum par salam bhejein In ansuon ke badle kausar ke jaam bhejein Zikr-e-Hussain baaqi Shehzad aik khaki Hay sirf ye Hussain ka ghulam |