wo waqt kabhi to ayega Zehra(A) ki dua k saye main Mehdi(a) ka alam lehraye ga - wo waqt kabhi to ayega tarikh k chehray per jitnay - parday hain utha daingay ik din matam ki sada e peham say - duniya ko jaga daingay ik din hay khamnayee rehmer apna - uncha hi rahay ga sar apna
Aap say wada hay ye khoon e shaheedan ki qasam raigan janay na daingay maqsad e qurbani hum
sar nigon honay na daingay parcham e abbas ko ik azakhana banadaingay dil e hassas ko ta zahoor e mehdi e doran khud apnay khoon say hum bujhain gay zaminay karbala ki piyas ko
misl aqaye madina(S) har sitam sehtay huay deen ko phlaingay had e sharha main rehtay huay kufr ka sar katnay ko sabr ki talwar say janib e maqtal barhaingay YA ALI kehtay huay
jab bhi uthay ga kahin batil ki bayet ka sawal ahl e haq kardaingay batil k liyen jina muhal yaad rakhay ga zamana jisko roz e hashr tak karbala e fikr ki qayam karaingay wo misal
yad hay wo roz e ashura shah e din ka khitab wo sawal e aab wo qatil ko asghar ka jawab bhool sakti hi nahi ahlay haram ki bebasi ek ek zulm o sitam ka laingay gin gin k hisaab
qutelal hussain o bekarbala - zebehal hussain o bekarbala haye sehra e karbala main hussain piyasay zibah huay haye sehra e kabala main hussain piyasay shaheed husay
goonjtay hain aj bhi maqtal main ik bibi k bain kistarhan ayega merey laal tujh bin maan ko chain khoon rulaye gi mujhay ta hashr teri bekasi ay meri aghosh k palay merey piyasay hussain
nok e neza per junhi dekha sar e shah e anaam syed e sajjad k honton pay aya ye kalam assalam ay kushta e tegh e jafa mola hussain assalam ay tishna lab shah e shaheedan assalam
haye wo sham e ghariban wo hujum e bekasi lut rahay thay jal rahay thay khema e al e naibi(S) karbala k dasht main tha ek mehshar sa bapa har taraf thi wa hussaina ki sada goonji hui
uth raha tha jab khayam e al e athar say dhwuan ek bachi thi akeli janib e maqtal rawan nagahan ik sar buridah lash say ayee sada ay sakina aa mere sinay pe soja meri jan
parcham e abbas k saye main hum ahlay aza ta qayamat kam na honay daingay toqir e bapa Q na dekhain mot ki ankhon main ankhain daal kar apna wirsa hay shahdat apni manzil karbala
ap say wada hay ye khoonay shaheedan ki qasam raigan janay na daingay maqsad e qurbani hum |