Yad e kal khair Ya Hussain , ya Hussain , ya hussain , ya hussain Haye!! Aseer qafila darbar e sham jab aaya, Yazeed (LA) Zainab-e-Kubra (SA) se yun huya goya Lo aj raaz “Wa tu izzu man tasha” ka khula Kay bawaqar hua kon, kon hay ruswa O! Bad kalam tehar, O! Bad kalam tehar, Bolen Zainab-e-Kubra (SA) Nashay mai mast hay aayat yeh poori sab ko suna, Wo hath khair ka hay kon mujh ko yeh to bata Kay jis se zilat o toqeer bant’ta hay khuda Wo hath tu hay k hum? Wo hath tu hay k hum? Hum Ahlebait(AS) hain us kay, hum he hain izzat o zillat k bantnay walay Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan, sar e darbar e sitam Zainabi (AS) lehjay mai awaz e Ali (AS) goonj uthi Zulm or jabr k darbar par bijli se giri Laiq e hamd hay jis ne hamain izzat bakhshi Surah e Rom se shehzadi ne aayat yeh parhi Jo buray thay so bura he un ka anjam hua Jis ne Quran ko jhutlaya wo nakaam hua Yad e kal khair bhi hum, Rab e Kaaba ki Qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Kia kaha tu ne? kay haq se hamain ruswai mili Hum yeh kehtay hain hamain izzat o sachai mili Hum ko Quran mila Rab ki shanasaye mili Mere pyaro ko sina par bhi pazeraye mili Ibn e Marjana teray jubba o dastar talak Karbala aagaye ab sham kay darbar talak Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Aye mere bhai kay qatil hawas e zar k ghulam Imtehan yeh bhi hay or mai karun tujh se kalam Yun mukhatib hunk ay dil mai mere gham ki Mujh ko dena hay Hussain ibn e Ali (AS) ka paygham Kar kay tazheek e Nabi (SAWW), tujh ko maza aata hay Inteqam e badr o ohad pe itrata hay Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Aye Yazeed! Aye sitmai! Jag bohat shaad hay tu Qaid karke hamain samjha hay kay azad hay tu Yeh teri khaam khayali hay k aabad hay tu Nasl dar nasl sada kay liye barbad hay tu Faisla Rab ka hay, mohlat hay sambhal janay ki Dheel dee jati hay zalim ko sambhal janay ki Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Aaj kis zom mai ashraf ka khoon peeta hay Kat kay bagh e Risalat ko tu khush hota hay Cheekhta phirta hay tu badr ka yeh badla hay Mujh ko herat nahi hinda he ka tu beta hay Hoga maloom shaqawat, ka nateeja us din Badla yeh kia hay, liya jaye ga badla us din Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Kardia qatal hamain tu ne ghalat socha hay Gosht apna he chabaya hay badan nocha hay Kia khabar tujh ko k hum logo ka rutba kia hay Aal e Imran mai Allah ka yeh waada hay Shohada surat e Quran, sada zinda hain Wo to wo un kay muhiban sada zinda hain Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Haye! Mehv e heart hun jinhain Rab ne sar afraz kiya Ilm e Quran diya or yad e kal khair kaha Ah! Un Bagh e Risalat kay guloo ko masla Aasteeno se tumhari hay lahoo un ka baha Pak o pakeeza banaye, thay jo khud rab ne badan Aj sehra mai paray hain wohi be gor o kafan Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Aazma lay sitami jag sitam kay harbay Dekh baqi koi dil mai teray hasrat na rahay Reh gaya ho jo koi sitam toe wo bhi karlay Jeet kar har gaye teri hukumat hum say Fikr e Shabbir (AS) to phaylay gi, Muhammad (SAWW) ki qasam Yeh teray bus mai nahi malik o mukhtar hain hum Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Hafiz e Nehj e Balagha ka tha wo rob o jalal Maut ki khamoshi jesa hua darbar ka haal Jag utheen bibiyan jo theen gham se musalsal nidhal Bharay darbar se mazloom khateeba ka sawal Kalma jis ka parha, us ka jigar kat liya Apne Mohsin he kay nawasay he ka sir kat liya Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Tum thay nau lakh darinday wo bahatar (72) insaan Un bahatar mai bhi tha ik Asghar (AS) sa tishna dahan Aisa masoom qasam khata hay jin ki Qur’an Haye un pyaso kay hulqoom pe khanjar tha rawan Tum yeh kehtay ho paye jung Hussain (AS) aaya tha Betio behno ko phir sath mai kyun laya tha? Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Aye Yazeed(LA)! Aj kyun na tujh pe falak toot paray Tu ne who zulm diye jis ne Muhammad (SAWW) roye Haye namoos e Nabi (SAWW) kocha o bazaar phiray Dar o deewar sajay kothon se pathar barsay Shamio hum pe naya, ab yeh ghazab kartay ho Choti Zehra (SA) ko kaneezi mai talab kartay ho? Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam Khatam taqreer hui, mehshar e khamosh utha Ya Ali (AS)! Ap ki beti ka ajab khutba tha Murda darbar pe chahi thi khateeba ki sada Bich gaye Sarwar o Rehan wahan farsh e Aza Bhai kay sir pe nazar, Zainab e Kubra (SA) ki pari Jhuk gaye Bali Sakina (SA) pe Ali (AS) ki |