Allahuma adkhil alaa ahlil kubooris-suroor Allahuma aghni kulli fakeer Allahuma ashbi kulla jaai Allahuma ashfi kulli mareez (x2)
Behaqqe hazrat-e-Abbas Abbas, Abbas, Abbas
Beta hay tu Ali Ka, Zahra ki tu dua hay Shabbir tera aaqa, Ummul Baneen maa hay
Har surat o chalan may hayder se na juda hay Ta hashr tuj se kaayam dunya may bas wafa hay
Abbas, Abbas, Abbas (x2)
Tere alam ko thaame, har shaks keh raha hay Mazloome Karbala ka, Zainab ka waasta hay Pardesi koyi aysa, Pardes me na ujde Sadke mei uske jis ka, Ghar baar lutgaya hay Abbas, Abbas, Abbas (x2)
Us wakt jabke Zainab, Darbaar mei gayi thi Qari Namazio sey, Mehfil saji huwi thi Zaalim yeh puchta tha, Ghazi tera kaha hay Baalo se muh chupaaye, Zainab yeh keh rahi thi Abbas,Abbas,Abbas (x2)
Taqdeer ke sataye, tere dar pe sar jhukaye Ashko ki iltija ham, Ghaazi tuje sunaye Beemare saaribaan ke, Zakhmo ka waasta hay Jitne bhi khasta dil hay, Mowla shifa wo paaye Abbas, Abbas, Abbas (x2)
Dil ki muraad Gazi , tere Alam se paaey Roti huwi jo maaen, Tere Alam pe aaey Zahra ke dardey pehlu ka, Deti hay waasta Fizza ki kaneezi mei, Mera bhi naam aaey Abbas, Abbas, Abbas (x2)
Shaame Ghariban mei jis, Ka kurta jalgaya hay, Kaano se baaliya bhi, Haaye Shimr legaya hay Is bebasi se Mawla, Bacchi koi na tarse Farsh-e-Aza pe rokar, Har dil yeh kehraha hay Abbas, Abbas, Abbas (x2)
Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hay Masuma ki kasam hi, ghazi fakat tere hay Wo kuch rakam karu mei, jo naa rakam huwa hay Alfaaz who ataa kar, "Yawar" se jo pare hay Abbas, Abbas, Abbas (x2) |