Bano Yeh Abid Ko Batla Rahi Hai, Meri Sakina Ko Neend Aa Rahi Hai (x2)
Kehdo Hawaon Say Aahista Aayain, Kehdo Parindon Say Ghul Na Machayain, Kehdo Andheron Say Wapas Na Jayain (x2) Jaagi Huwi Chain Kuch Pah Rahi Hai. Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai.
Shayad Rasan Ki Aziyat Huwi Kam, Madham Karo Bibiyon Shoor-e-matam, Sajjad Zanjeer Bolay Na Is Dum (x2) Shayad Ghaamo Ki Ghaari Jaa Rahi Hai, Meri Sakina Ko Neend Aarahi Ha.
Yeh Sham-e-Ghariban Ki Jaagi Howi Hai, Tamachon Kay Daar Say Nayhi Sou Saki Hai, Zara Phir Galay Say Rasan Jo Khuli Hai (x2) Sukoon Say Jo Aab Sans Lay Pa Rahi Hai. Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai.
Main Khush Hon Kay Soyegi Meri Dulari, Main Qurban Is Kay Main Ab Is Kay Wari, Bohat Seh Chuki Dukh Yeh Ghazi Ki Pyari (x2) Magar Nabz Kuch Aur Batla Rahi Hai, Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai.
Magar Yeh Howa Kya Kay Zindan Roya, Badan Rooh Kay Sath Bachi Ka Soya, Na Jaagi Woh Abid Nay Shana Hilaaya (x2) Aur Ab Maa Aaj Kehte Bhi Sharma Rahi Hai, Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai.
Kahan Tak Likhonga Main « Rehan » Noha, Kabhi Shaam Jaaon To Dekhon Woh Roza, Jahan Qaidi Bachi Ka Marqad Hai Tanha (x2) Jahan Maa Abhi Bhi Kahe Jaarahi Hai, Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai.
Ké Ab Dhadkanein Jib Phir Is Pe Gira Hai Na Bhaayi Hai Nazdik Na Is Ke Maa Hai Kanon Se Khoon Go Ke Ab Bhi Ravan Hai (x2) Magar Ankh Bojal Yeh Samja Rahi Hai Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai
Zinda Ka Dar Zor Se Ab Na Kholo Ay Pehre Daaro Ab Ahista Bolo Tum Bhi To Jage Ho Kuch Der Solo (x2) Baba Ki Khushbu Ise Aa Rahi Hai Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai |