jab madine may paye karbobala daste khudrat ka sawara hua mehzar utra ghaur se zainab o shabbir ne usko dekha usmay likha tha ki kya hoga pasay qatl jafa imtehan baat liye bhai behan ne milkar dega sar kaun fida kaun karega chadar
mai noke sina pe chalunga behan chalna hai tumhe bazaron may
pamaal badan hoga mera jaana hai tumhay bazaron may mai noke sina....
aaghaze safar anjame safar hai sakht bahot maine maana mujhe yaad hai ab tak ay zainab nana se kiya tha jo wada mai tera deen bachunga qurban karunga sar apna qurban rida tum kar dena mai noke sina....
tum bhi ho shareeke kaar meri ghazi ki tarha akbar ki tarha ek jang tumhay bhi ladni hai be taygh ali asghar ki tarha sar auno mohamed ke hongay tar khoon may mere sar ki tarha tum azm-e-ali dikhla dena mai noke sina....
jab ahle haram qaidi bankar pabande rasan humraah tere jane jo lagay badida e tar aur khafila maqtal se guzre koshish karna us aalam may hum ko na sakina dekh sakay tum uska dhyan bata dena mai noke sina....
jis noke sina par sar ho mera jab dekho sina wo rukh gayi hai us waat samajh lena zainab naaqe se sakina gir gayi hai jab dekhna abid ki jaanib badh kaar nazar koi uth gayi hai khutbo ki taygh chala dena mai noke sina....
rehan o raza kya manzar tha jis waqt kaneezi may maanga darbar may us shehzadi ko haa naam sakina tha jiska us taaza sitam par abid aur zainab ka badan bhi kaamp gaya ye baat na tum dohradena mai noke sina.... |