Akilatul laarhaa (x8)
Ay munkaro nakir sunlo meri sada tum ko nahi pataa zainab ka hun fakir
Yeh Kabr nahi hain uskaa hai aza khana jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir
Zainab binte Ali (x8)
Ay nakirayn sawaalo ki na bharwar karo, Farshe majlis hai yahan awo adab se betho
Sheh ki majlis ho bapa hukm dete hai yahi
Zainab binte Ali (x8)
Tum bhi aate the dar-e-binte Ali pe aksar Sajda-e-shukr kiya maine bhi us chowkhat par
Jab bhi sajde me jabeen mein bhi kehta tha yahi
Zainab binte Ali (x8)
Kon hai maula mera tum ko batata hu abhi Aawo betho tumhe talkeen sunata hu abhi
Kya tumhe yaad nahi hai madadghar meri
Zainab binte Ali (x8)
Daagh-e-matam jo hai tehrir mere sine par Saath aaya hai mere tera hawala bankar
Ham kafan par bhi mere ye ibadat hai likhi
Zainab binte Ali (x8)
Tum ko batalatu hu me ashk azaa ki qimat Ek aansoo ki barabar nahi baagh-e-jannat
Rone waalo ke liye parti hai nade ali
Zainab binte Ali (x8)
Sunke ye baat nakirayn ne khaalik se kahaa Ai khuda banda-e-zainab hai ye banda tera
Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi
Zainab binte Ali (x8)
Hum sawaalat ke khatir to nahi aate hai Khayriyat puch ke momin ki chale jate hai
Khuch nahi keh te use jiske zamin ho bani
Zainab binte Ali (x8)
Phir nakirayn ne aapas me ye tey kar ke kaha Chor do sare sawaalaat sunawo nawha
Per musalsal ye sadaa kabr se aati rahi
Zainab binte Ali (x8)
Ay nakirayn wo Abbas-e-Ali ki Khwahar Majma-e-ahle sitam mei ye pukari ro ker
me wohi bibi hun Jisko kehte hai nabi
Zainab binte Ali (x8)
Baad "Darvaish" ne "Rehan" ye saabit ker di Kabr me unse sawaalat nakirayn kabhi
aake Karde gi nahi jise bhi ho razi
Zainab binte Ali (x8)
|