Haye Sajjad muhari haye beemar muhari (x2)
Majawo shor na logo Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Kabhi Bachi ko takta hai kabhi aansoon bahata hai Dar-e-Zindan se behta musafir sabse kehtaa hai
zaraa aaram se guzro Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte Tarap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hoto se
agar ye aah nikli to Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga
khudara shimr ko roko Sakina jaag jaye gi

Abhi Zindan me hojayi ga kohraam ye barpa who aahat simt ke samjegi ke shayed aa gaye baba
Dar-e-Zindan naa kholo Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Ye wadaa hai meraa pani nahi mangooga me tum se wo jab uthtjaya to jee bhar ke beshak maar na dure
abhi bekas ko na maro Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Abhi azad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano parindo chordo zindan meri iltejaa maango
chale jawoo naa yu chehko Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Sar-e-Zinda Sakina ko kazaa ki neend kiyaa aayi kisi se kuch nahi kehtaa hai itna mazloom thaa bhayi
ke ab ye der nahi usko Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga
khudara shimr ko roko Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Saf-e-matam se abid ka ye "Akbar" bayn aata hai Isse bas waaste purse meri ab cheyn aata hai
Sada matam ki na roko, Sakina jaag jaye gi
Meri zanjeer na khencho Sakina jaag jaye gi (x2)
Haye Sajjad muhari haye beemar muhari (x2) |