Haae Akber Haa Akber haae haae akber (x2)
Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x3)
Kaandhe zaeef ke par (x2) laashaa hai nawjawaan ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Thaamo Khaleel dil ko shayad na dekh paao (x2) Hamshakle Mustafa ke (x2) sine me phal sina ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Pardo mei jisko paala athara saal zainab (x2) who lakht hai kaleja (x2) maqtal mei us jawaan ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Naa sine ke jigar se sheh khench te hai barchi (x2) dil gham se phat na jaae (x2) khaime ke dar pe maa ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Bechain hogayi hai subhe ashur asghar (x2) andaaz hu ba hu hai (x2) akber teri azaan ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Sughra se koi kehdo bibi diye bujhaalo (x2) naa aayega palat kar (x2) ham shakle nana jaan ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2)
Akber ke paak khun se rangi hai khak-e-karbal (x2) rang laal hogaya hai (x2) "Jawaad" aasmaan ka Aao Khaleel dekho aagaaz hai fughaan ka (x2) |