ya zahra ya zahra
zulm ye kaysa hua ya zahra ghar payambar ka luta ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
tashna lab bache the darya ke kanare bibi jin pe rote rahe tasnim ke dhare bibi
thi badi garm hava ya zahra al atash ki thi sada ya zahra unko pani na mila ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
so gaya haye teri god ka pala ran me lut gayi ale payambar ki kamayi ban me
zulm mehma pe hua ya zahra jism tiro pe raha ya zahra lasha pamal hua ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
zulm vo ale payambar pe hua jungal me khun me dub gaye lalo gohar maqtal me
asman rota raha ya zahra khun pyason ka baha ya zahra shad the ahle jafa ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
kon sunta tha vaha tashna labo ki faryad ahle ki dhate the har ek qadam pe bedad
thi yatimon ki sada ya zahra har taraf aho buka ya zahra lut gayi ale eba ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
kat gaye hath alamdar ke darya ke qarib dasht me ruth gaya pyas ke maron ka nasib
ran me mashkiza chida ya zahra gurz ek sar pe laga ya zahra lawt ke aa na saka ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
chand se sine pe barchi ali akbar ke lagi gam se bete ke shahe din ki qamar tut gayi
arsh is gam se hila ya zahra rote the shahe huda ya zahra khun reti pe baha ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
hurmula ne wo sitam tashna dahan par dhaya kanpi maqtal ki zamin awr falak tharraya
tir gardan pe laga ya zahra royi darya ki hava ya zahra gam me dubi thi faza ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
mar gaye zainabe muztar ke dulare bache haye kis umr me dunia se sidhare bache
ayi gurbat me qaza ya zahra ma ne shukva na kiya ya zahra kar diye shah pe fida ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
kitna dushvar tha bimar musafir ka safar nange sar bibiyan awr sham ki wo rah guzar
khun chalo se risa ya zahra har sitam us ne saha ya zahra lab pe tha shukre khuda ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
ye dua hay ke najaf jayen ayazo raqim zikre sarvar ka sila payen ayazo raqim
har ghadi hay ye dua ya zahra hay yahi dil ki sada ya zahra payen ye dil ki sada ya zahra
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
|