1. Chehlum jo karbala mAey Bahattar ka ho chuka Paewand bekason key tan-o-ser ka ho chuka Aur Fatiha Hussain key lashkar ka ho chuka Qabron pa shor Aal-e-PAeyambar ka ho chuka
Maatam mein teen roz rahey shor-o-shain sAey Roye lipat lipat ke mazaar-e-Hussain sAey
2. Misley CharaghAey gor ghareeban pe dil jalaAey Phoolon ke badlAey qabron pe laqtAey jigar charhaAey Pyaaron ki boond-o-bash ke saman jo yaad aAey Besakta pukarAey kalejey parkhar ke haAey
Hai hai wo parda daar hamarey kidhar gAeye Bey parda hokey Aal-e-Nabi dar badar gAeye
3. Maqtal ke aas paas ye Beywon ki thi fughaan Zainab jabeen lahad pe dharAey karti thi bAeyaan Aey mere Karbalaee Baradar Hussain jaan Humsheer teen din sey tumhari hai mehmaan
Allah meri baat bhi poochi na aapne Zindan ki waredaat bhi poochi na aapne
4. Raazi hoon jo raza-e-Imaam-e-Jaleel hai per khabiley mulahiza baazu ka neel hai Na koee daad ras hai na koee kafeel hai Bhaee baghair aapke Zainab zaleel hai
Pusht-o-panah uth gAeya beykhanuma huwi Dekho ye pusht khabiley nokey sina huwi
5. Mein jaanti thi sheher basa hoga Bhaee ka Hoga hujoom qabr pa saari Khudaee ka Chehlum karoongi dhoom sey mai Karbalaee ka Pursaa bhi yaan koee nahi Zehra ki jaee ka
Moonh dhaanp ne ko aap hi palla bhi leti hoon aur apne dil ko aap he pursaa bhi deti hoon
6. Chehlum tu kar chuki mai dilafgaar Ya Hussain Ab Roza ki tarha se ho tAeyyar Ya Hussain Beta bhi hai aur Bahan bhi hai nadaar Ya Hussain Akhir kabhi tu aaengAey Zawwar Ya Hussain
Takya hai kaar saaz ye parwar digaar per Iss dam tu saAeyebaan bhi nahi hai mazaar per
7. Zainab pukari kooch ka samaan hogAeya phir shahar mere Bhaee ka sunsaan hogAeya Aur Maqbara Hussain ka sun-saan hogAeya Hoo ka maqam qatl ka maidaan hogAeya
Aa ee musafiron ko mere woh zameen pasand Dunya mein iss zameen ko basti nahi pasand
8. Aey Karbala-e-Sarwar-e-Dilgeer alweda Aey Qatlgah-e-Hazrat-e-Shabbir alweda Aey Qabr Ibn-e-Saheb-e-Tatheer alweda Aey Bhaee jaan jaati hai Hamsheer alweda
Kya bey naseeb hai ye nawasi Rasool ki Tum ney mujaveri na hamari khabool ki
9. BhAeyya utho kajavey mein mujhko tumhee bithao BhAeyya mein bey Naqab hoon rah geeron ko hatao Rokey khanaat Akber-o-Abbas ko bulao Khali hai godh Bhabi ki Asgher ko lekey aao
Sardar sarAey qafiley ki aagey hotey hein Taeyyar karwan huwa aur aap sotey hein
10. Kabse tumhey pukaar rahi hoon mein khasta tan Hai hai jawab bhi nahi dete Shahe Zaman BhAeyya galAey lagalo tu jaaoon suye watan Aa ee nida sidharo Khuda hafiz Aey bahan
Sughra ko meri simt sey bhi pyaar kijiyo Hoga sawab khatirey bimaar kijiyo
|