Sughra ghash say chaonk kar utheeee Sughra ghash say chaonk kar utheeee
Bolee sar ko peetti huiiii Haaye meri neend ud gayeeee Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo, Meray baba khairiyat say hooo (Meray baba khairiyat say hooo x 3)
Dekha aaj mainay kaisa khaaaab Ret par paday hai kuch ghulaaaab Choon rahay hai jinko bu turaaaab Khoon ro raha hai aftaaaab Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Ik taraf alam hai khoon mein tarrrr Jhuk gayee hai shah ki qamarrrr Jaa rahi hai jis taraf nazarrrr Bibiyaa khadi hai nangay sarrrr Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Haaye haaye qasim-e-jawaaaan Bain kar rahee hai jiski maaaa Hil gayay zameen-o-aasmaaaan Todi jab dulhan nay choodiyaaaan Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Ek bachchi seena-e-padarrrr Dhoondhti rahi idhar udharrrr Baap so raha thaa khaaq parrrr Jiskay tun say qat chooka tha sarrrr Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Qaid hai rasoolzaadiyaaaan Haath mein bandhee hai rassiyaaaan Be kajawaa hai amareeyaaaan Khoon ro raha hai saaraybaaaan Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Khaab ye badaa ajeeb thaaaa Badshah-e-deen ghareeb thaaaa Kyaa yehi mera naseeb thaaaa Be-qafaan mera tabeeb thaaaa Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4
Sarwar-o-rehaan ki duaaaa Ho qubool shah-e-karbalaaaa Koi beti aur is tarhaaaa Phir tadap kay yun na day sadaaaa Haaye meri neend ud gayeeee Meray baba khairiyat say hooo x 4 |