Hogi yeh majlis to hogi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2) Aarzu hai yeh nabi ki (x2) Ruk nahi sakti kabhi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
1) Chawdaa sadiyaan ho gayi hain Majlise Shabbir ko Khun se likhte rahe ham gham ki iss tehrir ko Yeh sadaa hay Karbala ki (x2) Yeh sadaa Shabbir ki Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
2) Teghon ke saayen me palte hain Husaini nawjawaan Maut se larna sikhati hai hamay lori me maa Apne khun se morte hay (x2) Har gham to tegh ki Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
3) Sunnate Zainab ye majlis Sunnate Zainul ebaa Shaam ke darbaar may Majlis huwi maatam huwa Ruk na paee Shaam may jab (x2) Kya rukengi ab kabhi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
4) Goad ka bacchaa ho koyi yaa jawano pir ho Dekho usko uss garhi jab maatame Shabbir ho Aik hai raftaar sabki (x2) Aik hay aawaaz bhi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
5) Saw janaaze ham uthaae apne pyaaron ke to kya Ruk nahi sakta Azaadari ka yeh silsilaah Apne hi khun me naha kar (x2) ham pukaarenge yahi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
6) Cheen bhi jaaye gar hussaini maaon se unke jawaan Yaad karke zakhme Akbar ko kahengi sab yeh maa Tha Ali Akbar ka sadqa (x2) laal mera maatami Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
7) Keh raha hay parchame Abbas ka panja yehi Hath kat jaye to matam ruk nahi sakta kabhi Sar ko takra kar karenge (x2) aag par chal kar kabhi Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
8) Aey azaadaro Hussain Ibne Ali ke maatami Yun guzaro tum azadari me apni zindagi Pairwi karte hi rehna (x2) Abu zaro Salman ki Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa (x2)
|