Zindane Shaam me jaha, bibi ka hay mazar Raato ko dhimi dhimi si aati hay ek pukar Kano se mere khoon (x2) Abhi bhi tapakta hay, amma baar baar (x3) Amma baar baar gala mera dookhta hay amma baar baar
Uthti hay jab bhi aah (x2) Mera saans rukta hay, amma baar baar Haa, amma baar baar
Soyi nahi hoo shaame gariba ke baad main Ab kya jiyungi Shaam ke zindan ke baad main Be aas ab hoon shahe shahida ke baad main Saya azal ka amma (x2) mere sath chalta hay Amma baar baar..
Kano ka khoon aankhon ke aansu se mil gaya Har zakhm phool banke badan par hay khil gaya Baba ko dhoond laoon ke seene se dil gaya Be jaan mere jism (x2) may kyun dil dharakta hay Amma baar baar..
Aey amma jab se baba se main door ho gayi Ye zindagi mere liye naasoor ho gayi Par kya karoon naseeb se majboor ho gayi Hijre padar se seene (x2) me ik dard uthta hay Amma baar baar..
Kante parre hain halq main aey amma pyaas se Darti hoon jhonka guzre hawa ka jo paas se Neend urrgayi hay aankhon se khawfo hiras se Rone pe mere shimr (x2) layeen kyun jhirakta hay Amma baar baar..
Asghar ke bad paani piyoo main nahi nahi Ammu ke baad zinda rahoon main nahi nahi Fariyaad kuch shaqi se karoon main nahi nahi Paani main ab bhi chehraye (x2) Asghar jhalakta hay Amma baar baar..
Lagta hay qaid jan se rihayi qarib hay Aey amma jano tum se rihayi qarib hay Ab mout mujhko qabr ke laayi qarib hay Daman to jal chuka hay (x2) mera dil sulagta hay Amma baar baar..
Konain may ye kaisa hay qanoon poochiye Marne ke baad mujhko rihayi nahin mili Ye kaisi qaid hay ke lahad bhi yahin bani Qaidi kabhi to qaid se (x2) ghar ko palat-ta hay Amma baar baar..
Amma rehai paake watan tum to jaaongi Sughra meri bahan ko gale se lagaaongi Puchengi jab mujhe to use kya batawoongi Reh reh ke ek sawal (x2) mere dil may uthta hay Amma baar baar..
|