Asghar ka janaza Asghar ka janaza
Ay momino jab khoon me duba huwa aaya Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
1) Shabbir ne ek maa se use kaise chupaaya Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
2) Hatho pe janaza Ali Asghar ko utha kar Rukh suwe falak karke sada detay thay sarwar Allah yehi hadya e aakhir hai hamara Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
3) Chehre pe mere khoon hay mere guncha dahan ka Murjaya hai ye phool Muhammad kay chaman ka x2 Ay nana tere deen pe karta hu may sadqa Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
4) Sangdil tha layeen bachay pe kuch rahm na khaaya Pani ke talab karne pe khoon uska bahaya x2 Islam ko ab hashr talak kar gaya zinda Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
5) Jab rat ko maa apnay tasawur ko jagati Awaz use jhule ki nauha ye sunati x2 Kya bhool gaye hatho pe Sarwar ke jo dekha Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
6) Maa kehti thi ay goad ke paale Ali Asghar Thi aarzu dekhoon gi may sehra tere sar par x2 Kyun waqt ne mujh kokh jali ko hay dikhaya Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2
7) Yad aa gaya zindaan me jo bhayya ka humakna Sajjad se tab kehne lagi bali Sakina x2 Kya kha ke taras dhoom se logo ne uthaya Asghar ka janaza Asghar ka janaza x2 |