Hayya Ala Khayril Amal (x6)
1. Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2) Is se milega mominon (x2) jannat ka rasta Hayya Ala Khayril Amal (x2) Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2)
2. Matam he ye usi ka jo nabiyon ka naaz hay Sadqe mein jiske aaj bhi qayam namaaz hay Hayya Ala Khayril Amal (x2) Jisne sulagti ret pe sajda kiya ada Is se milega mominon jannat ka rasta Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2)
3. Matam hay uska jisne watan chora ghar diya Jisne saron se deen ka kashkol bhar diya Hayya Ala Khayril Amal (x2) Jisne jalaya khun se islam ka diya Is se milega mominon jannat ka rasta Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2)
4. Matam hay uska jispe qayamat guzar gayi Bhay ki laash par bhi jo matam na karsaki Hayya Ala Khayril Amal (x2) Ghurbat pe jiski shaam ka zindan rodiya Is se milega mominon jannat ka rasta Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2)
5. Azmat jo puchhte ho to quran se puchhlo Qurbani uski shame gharibaan se puchhlo Hayya Ala Khayril Amal (x2) Jisne bachake deen ko sab kuch luta diya Is se milega mominon jannat ka rasta Matam karo Shabbir ka Zahra ki lo dua (x2)
6. Aal-e-nabi ke gham ke siwa koi gham na ho JAWWAAD ya Hussain ki awaz kam na ho Hayya Ala Khayril Amal (x2) Matam ali ke laal ka jari rahe sada Is se milega mominon jannat ka rasta Hayya Ala Khayril Amal (x6)
|