Sakina (sa) Mar Gayi .....(x2) Haay ..... Sakina (sa) Mar Gaye,
Zindan me jab yeh shor utha, Alam se dard tha us dam har ek ka chehra Qareeb e lasha e hamsheer bhai jab pohoncha Bandhe thay hath badan zouf se larazta tha Na uth saka jo janaza bahan ka bhai se To ro ke bete se Sajjad(as) phir yeh kehne lagay
Kar madad meri Baqir(as) beta hamsheer ki qabar banaoon may (x2) Zanjeer uthao tum meri (x2) Aur uski lash uthaoon may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
Dada ne badi mazloomi may Shehzadi(sa) ko dafnaya Lekin woh Madina tha Baqir(as), aur yeh hay des paraya Is char baras ki mazlooma ko gurbat me kahan dafnau may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
Mil jaye agar wapas mujhko, woh teri rida ya gohar Baba ki lahad par rakh doon ya, Sughra ko doon wapas jaakar Woh dono amanat hai teri, batla de kisay pohuchaoon may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
Jub tum ko rehai mil jaye, phupion ko watan pohuchana Reh lenge yahin hum bhai bahan, tum qafela ghar lejana Dafnate huay is bacchi ko, zindan may agar mar jaoon may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
Dono ko juda main kaise karoon, himmat hi nahi yeh meri Hai aap ke sar se lipti hui, bejaan yeh aap ki beti Kya sath Sakina ke baba, sar aap ka bhi dafnaoon may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
Tareek lahad ko band kia, Abid ne ye keh kar Akbar Keh do ye haram se aey Baqir, sub royen yahan par aakar Turbat pe chirrakne ki khatir, ab pani kahan se laoon may Kar madad meri Baqir(as) beta, hamsheer ki qabar banaoon may
|