Haaye..... Haaye Hussaina (as) haaye Hussaina (as), Aye haaye Sakina (as) aye haaye Sakina (as)...
Yeh ruksat-e-aakhir hai pukaare Shahe waaala, Aye Zainab (as) -o-Kulsum (as) Rabab (as) aur Ruqayya (as), Tum sab pe salaam aakhri Allah (s.w.t.) ko saumpaa, Lipti hui kadmo se yeh kehti thi Sakina (s.a.).
Aye Kul ke madadgaar madad karne ko aao, Yaa Fatema Zehra (s.a.) mere baba ko bachaao x2
Baba na kaho baba, tum saath raho baba, Kuch humse suno baba, Aage na badho baba, Aaram karo baba, Baraaye yeh dile Dukhtar, Baraaye yeh dile Dukhtar, Khaime mein chalo baba.
Aye Kul ke madadgaar .....
Main jaan gayi baba, Pehchaan gayi baba, Kurbaan gayi baba, talwaron mein jaaoge, Phir tum bhi naa aaoge, Baraaye yeh dile Dukhtar, Baraaye yeh dile Dukhtar, Tum humko na tadpaana.
Aye Kul ke madadgaar .....
Baba aye mere baba, laazim hai agar jaana, Yeh humse karo waada, jab shab ka ho sannaata, Aur meri sada sunna, Baraaye yeh dile Dukhtar, Baraaye yeh dile Dukhtar, Tum laut ke aa jana.
Aye Kul ke madadgaar .....
Sheh bole Sakina (s.a.) jaan, sau jaan se main kurbaan, Iss tarah na ho girya, ek waada nibhaana hai, ek qarz puraana hai, Baraaye yeh dile Dukhtar, Baraaye yeh dile Baba, Tum aaj dua karna.
Aye Kul ke madadgaar .....
Pursa hai paey Maula (aS), Rehan-O-Ali jee ka Karte the haram Nauha, Sarwar ne kaha beti, Saaat hai judaai ki, Baraaye yeh dile Dukhtar Baraaye yeh dile Baba, Maqtal na chali aana |