Aey Rabbe jahan Panjtan-e-Pak(a.s.) ka sadqa
Iss qoum ka daman gham e shabir say bhar day
Bachoon ko aata ker Ali Asghar ka tabassum
Burhoon ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar day
Kamsin ko milay walwalaye Auno Muhammad
Har eik jawan ko Ali Akbar ka jigar day
Maoon ko sikha saniy e Zahra ka saliqa
Behnoon ko Sakina ki duaoon ka asar day
Maula tujhay Zainab ki asiri ki qasam hai
Bay jurm asiroon ko rahai ki khabar day
Jo chadar e Zainab ki azadar hain mola
Mehfooz rahein aisi khawateen kay parday
Jo deen kay kam aayein woh aulad aata ker
Jo majlisay Shabbir ki khatir ho woh ghar day
Muflis pay zaro lal jawahir ki ho barish
Maqrooz ka har karz ada ghaib say ker day
Gham koi na day humko siwa e gham e Shabbir
Shabbir ka gham bant raha hai to idhar dey
|