Agar Koi Apna Bhala Chahta hay
Usay chahay jisko, Khuda chahta hay
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Durood un pe bhejo, salaam un pey bhejo
Khuda ki kasam yeh khuda chahta hai
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Khuda ki raza, Mustafa chahtey hain,
Khuda Mustafa ki, raza chahta hai
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Fakiroon kay malja, yeh mangta tumhara
Madinay main thori sija chahta hay
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Banaley mujhey apna mehman Aaqa
Yeh har aik shaho ghada chahta hai
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Karey khuld hasil Habib e Khuda ka,
Jo insaan kurbe Khuda chahta hai
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
Agar koi apna bhala chahta hai
Usey chahi jisko, Khuda chahta hai
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
sallallahu alayhi wa aalehi wasallam
|