Khuda ka zikr karay zikr e Mustafa(sawaw) na karay
hamare moonh mein ho aisi zabaan na karain
Dar e Rasool pe aisa kabhi nahi deekha
Koyee sawaal kare aur voh ataa na karain
Madina jaa kay nikal na shehar se baahir
Khuda na khaasta ye zindagi wafa na karain
Nabi kay khado mein jis dam ghulaam ka sar ho
Qaza se kehdo kay aik lamha be qaza karain
Aseer jis ko bana kar rakhay madinay mein
tamaam umr rihayi ki vo dua na karain
Kaha khuda ne shafaat ki baat meshar mein
Pehal habeeb karay koyee dusra na karain
Shaoor e naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeer
Woh aadmi nahi jo inka haq ada na karaain
|