Kaash may doar-e-Payambar may uthaya jaata
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Kaash may doar-e-Payambar may uthaya jaata
Ba Khuda qadmo may Sarkar ke paaya jaata

Sath Sarkar ke ghazwaat may shaamil hota
Un ki hasrat may lahoo mera bahaya jaata

Rait ke zarron may Allah badal deta mujhe
Phir mujhe raah-e-Muhammad may bichaya jaata

Khaak ho jata may Sarkar ke qadmon ke talay
Khaak ko khaak-e-Madina may milaya jaata

Aey kaash may hota koyi aisi lakrri
Jis ko Sarkar ke mimbar pe lagaya jaata

Bun ke le jaata mujhe naat ke shairon may koi
Ru baroo un ke may un ko hi sunaya jaata

Un ke rozay ke dar-o-baam sajanay ke liye
Rozano may meri ankhon ko lagaya jaata

Ghass hi hota Madinay kay gali koochon ki
Aur Sarkar ke naaqay ko khilaya jaata

Laaya jaata sar e darbar aseeron ki tarha
Hukm par un ke may aazad karaya jaata

Hota us doar ka qissa koi Noor o Farhan
Aaj ke doar may bachon ko parrhaya jaata
(Noor Ali Noor)