Jeena Madinay may hay marna Madinay may hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Jeena Madinay may hay marna Madinay may hay
Ham muhibbon ka Maula Madinay may hay

Moat bali pe ho naat honton pe ho
Zindagi ka maza aisay jeenay may hay

Rehmatul aalameen aur ye janasheen
Aik hi karkhanay ke barah nageen
Ye nageen dekhnay may hain bara magar
Aik jaisi chamak har naginay may hay

Apnay sar ko jhuka kar ye bola falak
Saf ba saf aa rahay hain zameen par malak
Farsh walon ki jannat to hay arsh par
Arsh walon ki Jannat Madinay may hay

Mishk-o-ambar chambeli gul-e-nastarang
In ki khushbo hay jannat ki khushboo se kam
Booey firdos bhi jis pe qurban ho
Aisi khushboo Nabi(sawaw) kay pasinay may hay

Chahatay ho agar Hajj ki takmeel ho
Hajio hajj se pehlay Madina chalo
Dono aalam ki jaagir Makkay may hay
Rab ka sara khazeena Madinay may hay

Zindagi ka safar hay bohat mukhtasar
Par hay sab se taweel aakhirat ka safar
Jin ko jana hay Kausar ke saahil talak
Un se keh do safina Madinay may hay

Adil e dahr fakhr e Khaleel e Khuda
Khul gaya hay Mujeeb ishq ka maekada
Baat karnay ki hay kis ko fursat yahan
Har muhib aaj masroof peenay may hay