| Aas tum se hay hayat tum se hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Aas tum say, hayat tum say hai Meri kul kaynaat tum say hai Noor-e-awwal ho tum hi khilqat mein Noor-e-aakhir ki zaat tum say hai Tum ho khair-e-bashar, madinay-e-ilm Saum tum say, salaat tum say hai tazmeen Shafay-e-muznabeen, aey aaqa Aasiyon ki najaat tum say hai Faasla hai faqat kamanon ka Shab-e-asra jo baat tum say hai Guftagu hai ye kis kay lahjay mein Pas-e-parda jo baat tum say hai Harf-e-awwal bhi tum ho aakhir bhi Aalam-e-shash jehaat tum say hai Madh mumkin nain shah-e-lau laak Khilqat-e-kayenaat tum say hai Deen-e-islam ki ragon mein lahu Bankay aab-e-yahaat tum say hai "Aamanu" hai wilayat-e-haider "Amelus salehaat" tum say hai Meray aaqa meray karam farma Meri banti hi baat tum say sai Kyun kahey mir bar sar-e-mahfil Jo bhi hai bas wo baat tum se hai |