Apni ata ka haq ne ye manzar dikha diya
Dil mera aastan e Nabi(sawaw) par jhuka diya
Koye shah e Arab(sawaw) ka bana kar mujhe faqeer
Shahi ka martaba meray dil se ghata diya
Pohoncha diya Khuda ne dar e shah par hamain
Allah ne ye naat ka achcha sila diya
Ankhon may bas gaya hay jamal e Khuda Riyaz
Deedar jab se un ka Khuda ne kara diya
|