Aah jaati hay falak par rehm lanay ke liye
Badlon hat jao day do raah janay ke liye
Aey dua khawan arz kar arsh e ilahi tham ke
Ya ilahi phair de rukh gardish e ayyam ke
Dhondtay hain ab madad wan sozish e gham ke liye
Kar rahay hain zakhm e dil faryad marham ke liye
Rahm kar apnay na aayenay karam ko bhool ja
Ham tujhe bhoolay hain laikin tu na ham ko bhool ja
Khalq ke randay huay dunya ke thukraey huay
Aaye hain ab teray dar par hath phailaye huay
Khar hain badkar hain doobay huay zillat may hain
Kuch bhi hain laikin teray mehboob ki ummat may hain
Haq paraston ki agar ki tu ne dil joyi nahi
Taana dain gay butt ke Muslim ka ila koi nahi
|