Kuch nahi mangta shahon se ye shaida tera
Is ki daulat hay faqat naksh e kaf e paa tera
Pooray qad se jo kharra hoon to ye tera hay karam
Mujh ko jhuknay hi nahi deta sahara tera
Aik bar aur Madinay se falasteen may aa
Rasta dekhti hay masjid e aqsa tera
Log kehtay hain ke saya teray paikar ka na tha
May to kehta hoon jahan bhar pe hay saya tera |