Meray aaqa aao ke muddat hui hay
Teri raah may akhyan bichate bichate
Teri hasraton may teri chahaton may
Barray din huay ghar sajatay sajatay
Mera ye hay eeman ye mera yaqeen hay
Meray Mustafa(sawaw) sa na koi haseen hay
Ke rukh un ka dekha hay jab se qamar ne
Nikalta hay munh ko chupatay chupatay
Meray lab ke Maula na koi sada hay
Faqat is nikammay ki yeh hi sada hay
Ke meri sans niklay dar e Mustafa(sawaw) pe
Gham e dil Nabi(sawaw) ko sunatay sunatay
Ye dil jab se ishq e Nabi(sawaw) may parra hay
Na din ki khabar hay na shab ka pata hay
Aaqa ab to basarat bhi kam ho gaye hay
Teray gham may ansoo bahatay bahatay
Qayamat ka manzar barra pur khatar hay
Magar Mustafa(sawaw) ka deewana ho ga
Wo pul se guzar jaye ga wajd kartay
Nara Nabi(sawaw) ka lagatay lagatay
Ye mana ke ik din aani qaza hay
Magar dosto tum se ye iltija hay
Ke shehr e Muhammad(sawaw) ki har ik gali se
Janaza uthana ghumatay ghumatay
Na kaabay se matlab na masjid ki chahat
Faqat dil may Hakim tamanna yehi hay
Jo mil jaye naqsh e kaf e paye Ahmed(sawaw)
To mar jaoon sar ko jhukatay jhukatay
|