| Baraay lateef hain nazuk se ghar nain rehtay hain Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Baraay Lateef Hai Nazuk Se Ghar Main Rahtay Hain Mere Huzoor Mere Chashme tar Main Rahtay Hain Hamary Dil Main Hamaray Jighar Main Rahtay Hain Unhhi kay Ghar Hain Yai Woh Apany Ghar Main Rahtay Hain Mukaam Unka Na Farshay Zameen Na Arshay Bareen Woh Apnay Chahanay Waloon Kay Ghar Main Rahtay Hain Yai Wakeeyah Hai Lebasay Bashar Bhi Dhowka Hain Yai Mowjeza Hai Lebasay Bashar Main Rahtay Hain Malayka Bhe Aqeedat Say Dekhtay Hain Unhay Jo Khush Naseeb Nabi Kay Nagar Main Rahtay Hain Rahay Woh Apno Say Ghafil Aray M’aazallah Khusha Naseeb Hum Unkay Nazar Main Rahtay Hain Yakeen Walay Kahan Say Chalay Kahan Pohchay Jo Ehlay Shuk Hai Agar Main Magar Main Rahtay Hain Khuda Kay Noor Ko Apne Tarah Samajhtay Hain Yai Kown Logh Hain Kis Kay Assar Main Rahtay Hain Nabi Ke Yaad Main Jo Akhtar Subh-o-Sham Karay Kahin Bhi Rehtay Hoon Taybah Nagar Main Rahtay Hain |