Main to khud Unke dar ka gada hoon
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Main to khud Unke dar ka gada hoon
Apne Aaqa ko main nazr kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Varna qadmon mein aankhein bichha doon.

Aane waali hai unki sawari
Phool naaton ke ghar ghar saja doon.
Mere ghar mein andhera bohot hai
Apni palkon pe shamme jala doon.

Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai
Saamne mere Aaqa ka dar hai.
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai
Tumko lafzon mein kaise bata doon.

Mere aansu bahut kheemti hain
Inse waabasta hai unki yaadein.
Inki manzil hai khak-e-Madeena
Ye gohar yun hi kaise luta doon.

Main faqat Aap ko jaanta hoon
Aur usi dar ko pehchanta hoon.
Is andhere mein kisko pukaroon
Aap farma’aein kisko sada doon.

Qaafilay jaa rahe hain Madeene
Aur hasrat se main tak raha hoon.
Ya lipat jaoon qadmon se unke
Ya qaza ko main apni sada doon.

Meri bakhshish ka saamaan yahi hai
Aur dil ka bhi armaan yahi hai.
Ek din Unki khidmat mein jaakar
Unki naatein unhi ko suna doon.

Mujhko IqbalL nisbat hai unse
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai.
Main jahaan naat apni suna doon
Saari mehfil ki mehfil jaga doon.