| Balaghal ula bikmalihi Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi Mein buron say laakh bura sahi magar un say he mera waasta Meri laaj rakhna merai khuda yay teray habeeb ki baat he Tayray zikr ki he yay barkatayn merai bigray kam sanwar ga-ay Jahaan teri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he Teri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he Tera daykhna meri eid he tera rukh kalaam e majeed he Ho daruud tujh pay bhi aamina terai chaand par bhi salam ho Teri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he He ye aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo To Bana ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se Meray Dil Se Ghumbad e Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai |