Naat Sarkar(sawaw) ki parrhta hoon meiy
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Allahumma salle ala Syedana wa Maulana Muhammadin
Wa ala aalehi wa sahbehi wa barik wassalim

Naat Sarkar(sawaw) ki parrhta hoon mein
Bas issi baat say ghar mein meri rahmat hogi
Ik tera naam waseela hei mera
Ranj o gham mey bhi issi naam sey rahat hogi

(Kyunke Muhammad(sawaw) ka naam wo ism e aazam hay
Jahan koi na kaam aaye wahan ye kaam aata hay)

Ye suna hey kay bahot ghor andheri hogi
Qabar ka khowf na rakna ey dil
Wahan sarkar e madina (do-allam) ki ziarat hogi

Unko mukhtar banaya hay merey mola ney
Khuld may bas wahi ja sakta hay
Jisko Hasnain(as) kay baba ki ijazat hogi

(Ana Madinatul ilm e wa Aliyun babuha)

Kabee yaseen kabee tauha kabee walail aya 
Jiski qasmay mera Rab kaata hey 
Kitni dil kash merey Mehboob ki surat hogi 

Do jahaan mein usey phir kon panah main layga
Hoga ruswa wo sare hashr jisay
Syeda Zahra(sa) kay bachon sey adawat hogi

(Behaqqe Fatima wa Abeeha wa baluha wa banuha)

Hashr ka din bhi ajab deykna wala hoga
Zulf lehra key woh jab ayengey
Phir qiyamat mein bhi ik aur qiayamat hogi

Mera daman to gunahon sey bhara hey Altaf
Ik sahara hey kay mein unka hoon
Issi nisbat sey sar-e-hashr shifa-at hogi