Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.
Munafiqoon ka aqeeda woh ghaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain.
Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna parrega, huzoor jante hain.
Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain.
Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain.
Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.
Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.
Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.
Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.
Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.
Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.
Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain
Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.
Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.
Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.
Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.
Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain.
Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain.
Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain.
Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.
Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.
Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.
Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain
|