Ham kia bayan karain gay fazeelat Rasool(sawaw) ki
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ta Nabi Salam alaika
Ya Rasool Salam alaika
Salawatulla alaika
Ya Habib Salam alaika

Ham kia bayan karain gay fazeelat Rasool(sawaw) ki
Arsh-e-bareen se poochiye azmat Rasool(sawaw) ki

Masroof hain tilawat-e-Quran may Rasool(sawaw)
Quran kar raha hay tilawat Rasool(sawaw) ki

Yousaf na ruktay dil may Zulaikha ke aik pal
Ik bar dekh letai jo soorat Rasool(sawaw) ki

Allah ko pasand hay Mairaj hay gawah
Lehja Abu Turab(a.s.) ka qurbat Rasool(sawaw) ki

Makrri ka jala ghaar pe dekha to yeh khula
Allah(swt) kar raha hay hifazat Rasool(sawaw) ki

Yeh Karbala hay iski taharat na poochiye
Bikhri hui hay khak pe daulat Rasool(sawaw) ki