Na koi amal hay na may paarsa hoon
Ye baat teray karam se bani hay
May kuch bhi nahi hoon magar ye sharaf hay
Ke rukh meray aaqa ka meri taraf hay
Aray may to bas un ke dar ka gada hoon
Meri baat teray karam se bani hay - Mola karam se...
Meray Mustafa(sawaw) ke jo dar ka gada hay
Haqeeqat may dekho to wo badshah hay
Teri nazar e rehmat ka talib raha hoon
Meri baat teray karam se bani hay - Mola karam se...
Jahan mangta hoon wo tera hi dar hay
Mujhe naaz hay to isi baat par hay
Meray aaqa teray may dar ka gada hoon
Meri baat teray karam se bani hay - Mola karam se...
Bhataknay se Mola ne mujh ko bachaya
Sada majlison may hay mujh ko bulaya
Teri zaat se moatabar ho gaya hoon
Meri baat teray karam se bani hay - Mola karam se...
|