Zahe muqaddar huzoor-e-haq se
Salam aaya payam aaya
Jhukao nazrain bichao palkain
Adab ka aala maqam aaya
Yeh kaun sar se kafan lapaitay
Chala hay ulfat ke raastay pe
Farishtay hairat se tak rahay hain
Yeh kaun zee iehtaram aaya
Fiza may labbaik ki sadayain
Za farsh ta arsh goonjti hain
Har aik qurban ho raha hay
Zaba pe ye kis ka naam aaya
Yeh raah-e-haq hay sambhal ke chalna
Yahan hay manzil qadam qadam par
Pohonchna dar par to kehna aaqa
Salam lejye ghulam aaya
Ye kehna aaqa bohat se aashiq
Tarapte se chorr aaya hoon may
Bulaway ke muntazair hain laikin
Na subha aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se aakhir
Palat ke maqbool ho ke aayi
Wo jazb a jis may tarrap thi sachi
Wo jazba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz o nigehban
O rah e batha ke janay walay
Naveed e sad inbesat ban kar
Payam e darus salam aaya
|