Meetha metha hay meray Muhammad(sawaw) ka naam
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Meetha meetha hay meray Muhammad(sawaw) ka naam
Un pe lakon karorron darood-o-salam

Wohi Hasni Hussaini chaman ke hain phool
Noor-e-Maula Ali jaan-e-Zahra batool
Jin ke nana Rasool-e-Khuda zee maqam
Un pe lakhon karorron darood-o-salam

Jis ne aa ke sanwara hay darain ko
Jis ke rehmat ne thama hay konain ko
Jis ke dam se hi yeh ronaqain hain tamam
Un pe lakon karorron darood-o-salam

La makaan ke banay hain wohi do makeen
Jin ke nalaen ko choomay arsh-e-bareen
Jo Khuda se huay arsh par ham kalam
Un pe lakon karorron darood-o-salam

Waqt laey Khuda jayain darbar par
Aur kharay ho ke roza-e-Sarkar par
Pesh mil kar karain ham darood-o-salam
Un pe lakon karorron darood-o-salam

Ik Khuda ki raza jis ka maqsood tha
Zulm sehta raha shukr karta raha
Jis ke sabr-o-tahammul ke charchay hain aam
Un pe lakon karorron darood-o-salam

Shah-e-konain woh noor-e-darain woh
Fakhr-e-Hasnain woh Ghos-e-Saqlain woh
Jin ke dar ka hay Hafiz bhi adna ghulam