Jahan roza-e-pak-e-khairul wara hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Jahan roza-e-pak-e-khairul wara hay
Woh Jannat nahi hay to phir aur kia hay
Kahan may kahan yeh Madinay ki galiyan
Yeh qismat nahi hay to phir aur kia hay

Muhammad(sawaw) ki azmat ko kia poochtay ho
Ke woh sahib-e-kaba qosain thahray
Bashar ki sar-e-arsh mehman nawazi
Yeh azmat nahi hay to phir aur kia hay

Jo aasi ko kamli may apni chupa lay
Jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua day
Usay aur kia naam de ga zamana
Woh remat nahi hay to phir aur kia hay

Qayamat ka ik din muaiyan hay laikin 
Hamare liye har nafas hay qayamat 
Madine se hum jaan nisarun ki doori 
Qayamat nahi hay to phir aur kia hay 

Tum Iqbal yeh naat keh to rahay ho 
Magar yeh bhi soocha ke kia kar rahay ho
Kahan tum kahan madh-e-mamdooh-e-yazdan
Yeh jurrat nahi hay to phir aur kia