Jab zuban par Muhammad(sawaw) ka naam aa gaya
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Jab zabaan par Muhammad(sawaw) ka naam aa geya 
Aasman se Durrod o Salaam Aa Geya 

Soz e furqat se jab dil pareshan howa 
Lab pe la taqna tu ka payaam aa geya 

Jab barrhi hadh se deedar ki tashnagi 
Ru ba ru mere maah e tamaam aa geya 

Un ki mehfil ka jab bhi tasawwur kiya 
Hath mein mere wahdat ka jaam aa geya 

Kash phir haazri ki ijaazat milay
Phir karun arz aaqa ghulam aa geya

Ye bhi aijaz hay aap ke nuqt ka 
Jis zabaano ko tarz e salaam aa geya

Aap aaye to Quran ki shakl may
Zeest ka aik mukammal nizam aa geya 

May zameen aur darbar e khairul wara
khud unhi ka karam mere kaam aa geya